"Aetbaar" 

Pyaar Karnaa Pyaar Karnaa
Hai Tumko Mujhse To Karnaa Hogaa
Aetbaar Aetbaar Aetbaar
Is Nashe Is Nashe
Kaa Nashaa Lenaa Hai To Karnaa Hogaa
Aetbaar Aetbaar Aetbaar
Nain Band Hain Mere Dil Havaale Tere
Kar Liyaa Kar Liyaa Aetbaar Aetbaar Aetbaar
Pyaar Karnaa Pyaar Karnaa
Hai Tumko Mujhse To Karnaa Hogaa
Aitbaar

Lab Tere Chhoo Liye Ham Pighalne Lage
Lab Tere Chhoo Liye Ham Pighalne Lage
Aap To Mere Dil Mein Utarne Lage
Jaane Anjaane Mein Ye Kyaa Karne Lage
Is Mazey Is Mazey
Kaa Mazaa Lenaa Hai To Karnaa Hogaa
Aetbaar Aetbaar Aetbaar
Aage Ab Hogaa Kyaa Sab Mujhe Hai Pataa
Kar Liyaa Kar Liyaa Aitbaar

Pyaar Saagar Se Gahraa Hai Ye Jaan Le
Pyaar Saagar Se Gahraa Hai Ye Jaan Le
Koi Iskaa Kinaaraa Nahin Maan Le
Pyaar Se Pyaar Ko Aaj Pahchaan Le
Is Yaqin Is Yaqin
Kaa Yaqin Karnaa Hai To Karnaa Hogaa
Aetbaar Aetbaar Aetbaar
Nain Band Hain Mere Dil Havaale Tere
Kar Liyaa Kar Liyaa Aitbaar
Pyaar Karnaa Pyaar Karnaa
Hai Tumko Mujhse To Karnaa Hogaa
Aetbaar Aetbaar Aetbaar
Nain Band Hain Mere Dil Havaale Tere
Kar Liyaa Kar Liyaa Aetbaar Aetbaar Aetbaar

"Chhodo Chhodo"

Chhodo Chhodo Jaao Jaao Aate Jaate Haath Pakdaa Na Karo

Chhodo Chhodo Jaao Jaao Aate Jaate Haath Pakdaa Na Karo
Thahro Thahro Tum Bhi Hanske Aise Dekhaa Na Karo
Chhodo Chhodo Jaao Jaao Aate Jaate Haath Pakdaa Na Karo

Soch Nahin Sakti Main Jisko Aisaa Kuchh Kar Jaate Ho
Soch Nahin Sakti Main Jisko Aisaa Kuchh Kar Jaate Ho
Ye Bhi Pyaar Ek Adaa Hai Phir Kyun Tum Dar Jaate Ho
Baaton Baaton Mein Hamein Tum
Baaton Baaton Mein Hamein Tum Yun Daraayaa Na Karo
Chhodo Chhodo Jaao Jaao Aate Jaate Haath Pakdaa Na Karo

Tumko Jis Din Dekh Na Paaoon Dil Pe Qayaamat Hoti Hai
Tumko Jis Din Dekh Na Paaoon Dil Pe Qayaamat Hoti Hai
Dil Kii Aag Ko Pi Jaanaa Hi Sachchi Mohabbat Hoti Hai
Jal Rahe Hain Aur Hamko
Jal Rahe Hain Aur Hamko Tum Jalaayaa Na Karo
Chhodo Chhodo Jaao Jaao Aate Jaate Haath Pakdaa Na Karo
Na Na Na Na Na Na Na Na
Thahro Thahro Tum Bhi Hanske Aise Dekhaa Na Karo
Chhodo Chhodo Thahro Thahro
Aate Jaate Hun Hun Hun Hun
Tum Bhi Hanske Aise Dekhaa Hun Hun

"Saansein Ghulne Lagi"

Saansein Guhlne Lagi Baanhein Judne Lagi
Ye Pyaar Mein Kyaa Kyaa Hotaa Hai
Dil Jagtaa Hai Jag Sotaa Hai Un Hun

Saansein Guhlne Lagi Baanhein Judne Lagi
Ye Pyaar Mein Kyaa Kyaa Hotaa Hai
Dil Jagtaa Hai Jag Sotaa Hai Un Hun

Rag Rag Dhuaan Dhuaan Hai Nas Nas Nashaa Nashaa Hai
Haay Re Tere Ishq Ne Kahaan Se Kahaan Tak Chhuaa Hai
Chunri Udne Lagi Bijli Girne Lagi
Ye Pyaar Mein Kyaa Kyaa Hotaa Hai
Dil Jagtaa Hai Jag Sotaa Hai Un Hun

O O

Pyaar Kaa Matlab Na Poochhe Pyaar Mein Sab Kuchh Lutaayein
Masti Ki Kashti Pe Chadkar Jismon Ke Us Paar Jaayein
Hasti Mitne Lagi Roohein Milne Lagi
Ye Pyaar Mein Kyaa Kyaa Hotaa Hai
Dil Jagtaa Hai Jag Sotaa Hai Un Hun

Saansein Guhlne Lagi Baanhein Judne Lagi

"Tum Mujhse Bas"

Hey Hey Hey Hun Hun

Tum Mujhe Bas Yunhi Pyaar Karti Raho
Tum Mujhe Bas Yunhi Pyaar Karti Raho
To Khushi Mere Dar Se Kahaan Jaayegi
Umr Saari Guzaareinge Ham Baanhon Mein
Umr Saari Guzaareinge Ham Baanhon Mein
Zindagi Mere Dar Se Kahaan Jaayegi
Naam Honthon Pe Teraa Subho Shaam Hai
Naam Honthon Pe Teraa Subho Shaam Hai
Bandagi Mere Dil Se Kahaan Jaayegi

Aa Aa Aa
Tumse Pahle Koi Bhi Hamaaraa Na Thaa
Aa Aa
Tumse Pahle Koi Bhi Hamaaraa Na Thaa
Pyaar Kaa Dil Mein Koi Sitaaraa Na Thaa
Chaandni Banke Tum Ab To Ghar Aa Gayee
Chaandni Banke Tum Ab To Ghar Aa Gayee
Roshni Mere Dar Se Kahaan Jaayegi

Kitnaa Maasoom Hai Pyaar Kaa Silsilaa
Hey Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ho
Kitnaa Maasoom Hai Pyaar Kaa Silsilaa
Jo Mere Dil Ko Hai Tere Dil Se Milaa
Dil Se Dil Ki Kisi Dosti Ki Qasam
Dil Se Dil Ki Kisi Dosti Ki Qasam
Dosti Mere Dil Se Kahaan Jaayegi

Tum Mujhe Bas Yunhi Pyaar Karti Raho
To Khushi Mere Dar Se Kahaan Jaayegi
Naam Honthon Pe Teraa Subho Shaam Hai
Bandagi Mere Dil Se Kahaan Jaayegi

"Na Nazron Ka"

Na Nazaaron Kaa Na Sitaaron Kaa
Na Nazaaron Kaa Na Sitaaron Kaa
Na Fizaaon Kaa Na Bahaaron Kaa
Na Hi Laharon Kaa Na Kinaaron Kaa
Jaane Jaanaanaa Main Deevaanaa
Deevaanaa Deevaanaa Deevaanaa Hoon Teraa
Na Pavan Ki Hoon Na Chaman Ki Hoon
Na Samandar Ki Na Gagan Ki Hoon
Na Havaaon Ki Na Ghataaon Ki
Jaane Jaanaanaa Main Deevaani
Deevaani Deevaani Deevaani Hoon Teri

Kyaa Cheez Hai Tujh Mein Aisi Jo Main Deevaanaa Huaa
Kyaa Cheez Hai Tujh Mein Aisi Jo Main Deevaanaa Huaa
Deevaani Kaise Bataaye Kyun Tu Deevaanaa Banaa
Gar Hai Yahi Rasm-E-Ulfat Kyun Na Nibhaate Chalein
Aao Sanam Dono Milkar Sab Kuchh Bhulaate Chalein
Na Main Qudarat Kaa Na Main Jannat Kaa
Jaane Jaanaanaa Main Deevaanaa
Deevaanaa Deevaanaa Deevaanaa Hoon Teraa
Na Pavan Ki Hoon Na Chaman Ki Hoon
Na Samandar Ki Na Gagan Ki Hoon

Anjaani Aankhon Mein Kaise Mere Ye Sapne Saje
Anjaani Aankhon Mein Kaise Mere Ye Sapne Saje
Anjaanaa Kahnaa Na Mujhko Tere Liye Ham Bane
Ham Panchhiyon Ki Tarah Se Jaane Kidhar Ko Chale
Phoolon Bhari Vaadiyon Mein Neele Gagan Ke Tale
Na Na Main Phoolon Ki Na Main Bhanvron Ki
Jaane Jaanaanaa Main Deevaani
Deevaani Deevaani Deevaani Hoon Teri
Na Nazaaron Kaa Na Sitaaron Kaa
Na Fizaaon Kaa Na Bahaaron Kaa
Na Havaaon Ki Haan Na Ghataaon Ki
Jaane Jaanaanaa
Main Deevaanaa Deevaani
Deevaanaa Deevaani
Hoon Teraa Hoon Teri

"Jeena Hai Kis Liye"

Hanse Ped Jab Tab To Baadal Hanse
Hanse Jab Nadi Tab To Saagar Hanse
Hoke Insaan Bhi Ham Hanse Na Kabhi
Bas Yahi Sochkar Khud Pe Ham Hans Liye

Jeenaa Hai Kis Liye Jeevan Hai Is Liye
Zindaadili Se Kyun Na Ham Jiyein
Jeenaa Hai Kis Liye Jeevan Hai Is Liye
Zindaadili Se Kyun Na Ham Jiyein
Rishte Hain Kis Liye Samajhte Hain Is Liye
Jeenaa Bhi Varnaa Aur Hai Kis Liye

Ye Khizaan Aur Vo Bahaar Do Ghadi Ke Hain Khumaar
Badalnaa Hi To Qudrat Mein Qaayam Kaa Rahaa Kirdaar
Ye Khizaan Aur Vo Bahaar Do Ghadi Ke Hain Khumaar
Badalnaa Hi To Qudrat Mein Qaayam Kaa Rahaa Kirdaar
Badleinge Kis Liye Sanvreinge Is Liye
Badal Ke Hans Diye To Jee Liye
Jeenaa Hai Kis Liye Jeevan Hai Is Liye
Zindaadili Se Kyun Na Ham Jiyein

Aansoo Ke Jo Dhaare Hain Ye Gham Ke Sharaare Hain
Jo Unko Ponchh De Bas Vo Hi To Tumhaare Hain
Aansoo Ke Jo Dhaare Hain Ye Gham Ke Sharaare Hain
Jo Unko Ponchh De Bas Vo Hi To Tumhaare Hain
Aansoo Hai Kis Liye Sar Dard Is Liye
Muskaan Se Aansoo Bhi Dho Liye
Jeenaa Hai Kis Liye Jeevan Hai Is Liye
Zindaadili Se Kyun Na Ham Jiyein
Rishte Hain Kis Liye Samajhte Hain Is Liye
Jeenaa Bhi Varnaa Aur Hai Kis Liye
Make a Free Website with Yola.