"Agar Tum Na Hote (Male)"

Kishore Kumar Version:
Hamein Aur Jeene Ki Chaahat Na Hoti -2
Agar Tum Na Hote, Agar Tum Na Hote

(Tumhen Dekhke To Lagta Hai Aise
Bahaaron Ka Mausam Aaya Ho Jaise) -2
Dikhaayi Na Deti Andheron Mein Jyoti
Agar Tum Na Hote, Agar Tum Na Hote
Hamein Aur Jeene Ki..

(Hamein Jo Tumhaara Sahaara Na Miltaa
Bhanvar Mein Hi Rehte Kinaara Na Miltaa) -2
Kinaare Pe Bhi To Leher Aa Duboti
Agar Tum Na Hote, Agar Tum Na Hote
Hamein Aur Jeene Ki..

Lata Mangeshkar Version:
Hamein Aur Jeene Ki Chaahat Na Hoti -2
Agar Tum Na Hote, Agar Tum Na Hote

(Tumhen Kyaa Bataaoon Ke Tum Mere Kyaa Ho
Meri Zindagi Ka Tum Hi Aasra Ho) -2
Main Aasha Ki Ladiyaan, Na Rah Rah Piroti
Agar Tum Na Hote, Agar Tum Na Hote
Hamein Aur Jeene Ki..

(Har Ik Gham Tumhaara Sahenge Khushi Se
Karenge Na Shikwaa Kabhi Bhi Kisi Se) -2
Jahaan Mujh Pe Hastaa, Khushi Mujhpe Roti
Agar Tum Na Hote, Agar Tum Na Hote
Hamein Aur Jeene Ki..

Sad Version (Kishore Kumar):
Na Jaane Kyoon Dil Se Ye Aawaz Aayi
Milan Se Hai Badhke Tumhaari Judaai
In Aankhon Ke Aansoo, Na Kehlaate Moti.
Agar Tum Na Hote, Agar Tum Na Hote -2
"Hum To Hain Chuui Mui"

(Hum To Hain Chhui Mui Ib Kaa Karein
Ho Bhanvraa Banke, Ho Bhanvraa Aaye Gaye Ho) -2

Dekhen Voh Hamkaa Aisi Nazar Se, Dekhe Voh Hamkaa
Dekhen Voh Hamkaa Aisi Nazar Se
Kaise Pataaye Naazuk Saa Jiyaara
Chhaliyaa Banke, Ho Chaliyaa Banke Aaye Gaye Ho
Hum To Hain Chhui Mui..

Ib To Sajaaile Zulfon Mein Apni, Ib To Sajaaile
Ib To Sajaaile Zulfon Mein Apni
Mushkil Mein Pad Gayi Haay Raama Ho
Phoolvaa Banke, Ho Phoolvaa Banke Aaye Gaye Ho
Hum To Hain Chhui Mui..

Maara Hai Bairi Ne Dank Aisa, Maara Hai Bairi Ne
Maara Hai Bairi Ne Dank Aisa
Nas Nas Mein Bhar Daalaa Hai Zeher
Bichchhuwaa Banke, Ho Bhichchuwaa Banke Aaye Gaye Ho
Hum To Hain Chhui Mui..

Hamkaa Voh Bole Ras Ki Bhari Ho, Hamkaa Voh Bole
Hamkaa Voh Bole Ras Ki Bhari Ho
Beshram Aisi Batiyaa Kare Hain
Rasiyaa Banke, Ho Rasiyaa Banke Aye Gaye Ho
Hum To Hain Chhui Mui..

Hamkaa Banaa Ne Apni Dulhaaniya, Hamkaa Banaa Ne
Hamkaa Banaa Ne Apni Dulhaaniya
Baabul Se Hamre Poochhe Binaa
Dulhaa Banke, Ho Dulhaa Banke Aaye Gaye Ho
Hum To Hain Chhui Mui..

"Kal To Sunday Ki"

Kal To Sunday Ki Chutti Hai Phir Kis Baat Ko Rona Hai
(rekha-hummmm Kya Kaha Tumne)
Kal To Sunday Ki Chutti Hai Phir Kis Baat Ko Rona Hai
Aaj Raat Bhar Humko Pagli Jag Jag Ke Sona Hai
(rekha-har Pal Sunday Samjo Bas Ishi Baat Ka Rona Hai
Subah Muje Jaldi Uthana Hai Isley Jaldi Sona Hai)

(mane To Socha Tha Meri Haan Mein Haan Millaaogi
Sunke Meri Baat Meri Jaan Fully Nahin Samaogi)-2
Vah Ri Kismat Bhari Jawani Mein Yeh Sitam Bhi Hona Hai
(rekha-subah Muje Jaldi Uthana Hai Isley Jaldi Sojaao Baba)

(rekha-kabhi Kabhi Acha Lagta Hai Meethe-2 Khawab Aayen
Khawab Tabhi Aayenge Pagle Jab Hum Jadi So Jayen)-2
Achaha
(rekha-dhire Dhire Pyar Ke Dhage Mein Har Khawab Pirona Hai)
Are Aaj Raat Bhar Humko Pagli Jag Jag Ke Sona Hai

{chand Raat Ka Yeh Kehana Hai Ek Baar To Pyar Se Mil
(rekha-lakh Na Chahoon Phir Bhi Teri Baaton Mein Aajaye Dil)}-2
(rekha-jane Teri Batoon Mein Kya Aisa Jadu Tona Hai)
Aaj Raat Bhar Humko Pagli Jag Jag Ke Sona Hai
Kal To Sunday Ki Chutti Aaj Raat Bhar--(rekha-lalaalaa Laa)
Make a Free Website with Yola.